Aziyateñ to buhat di hai kund khanjar ne..
Aziyateñ to buhat di hai kund khanjar ne..
Kiya na shikwa koi fatema ke dilbar ne..
1)Har ek zarb qayamat thi shaahe wala par..
Laeeñ chalata tha gardan pa jis gharhi khanjar.
Buhat qareeb se Manzar ye dekha maadar ne..
2) Badan me taab na thi do qadam bhi chalne ko..
Khule saroñ se nigahoñ ka rukh badalne ko..
Parhi thi ayateñ naize pe ek kate sar ne..
3) Har ek qadam pa laeeñ zulm o jorr dhata tha..
Jahañ tamache lagane se baaz aata tha..
Wahañ diye haiñ sakina ko zakhm paththar ne..
4) Juda saroñ se huwi thi' to shaam aane tak..
Najis zabanoñ pe pakiza naam aane tak..
Ghamoñ pa sabr kiya bibiyoñ ki chadar ne..
5) yuñ roke kaihte the khaliq se apne shaahe arab..
lage na zakhm koi tere deen ko yarab..
Diya hai isliye apne jigar ko akbar ne..
6) Khayal jab bhi kisi bekafan ka aajaye..
Salam farz hai ham par unhe kiya jaaye..
Kiya tha yaad hameñ mushqiloñ me sarwar ne..
7) Laraz rahi thi buhat zauq arze karbobala..
Bahen ne bhai ka kat'ta gala jo dekha tha..
Bhula diye the sabhi gham woh ek Manzar ne..
